Jan 10, 2018

Janay kis lehjay se uss ne bola tha


Janay kis lehjay se uss ne bola tha 

Main ne hans'na hai teray marnay par 

Aagaah apni mout se koi bashar nahin


Aagaah apni mout se koi bashar nahin 

Samaan so baras ka pal bhar ki khabar nahin 

Makano aur dukano par ajab ik saaniha guzra


Makano aur dukano par ajab ik saaniha guzra 

Zaroorat ki her ik shay be'zaroorat ho gayi aakhir

Shart itni hai keh baarish ki tarah aana tum


Shart itni hai keh baarish ki tarah aana tum 

Daikhna kaisay main shaakhon se nikal aaon ga 

Uss ki mohabbat main sharakat nahin qabool mujhay


Uss ki mohabbat main sharakat nahin qabool mujhay 

Woh mera hai to khawab bhi bas meray daikhay 

Raat ko uth na saka darwaze ki dastak par


Raat ko uth na saka darwaze ki dastak par 

Subha bhout roya pairon kay nishan daikh kar 

Khayal baandh kay laa'on kamal kar daalon


Khayal baandh kay laa'on kamal kar daalon 

Tumhari zaat ko phir be'misal kar dalon 

Tu pukaray to phir mujh pe wajd taari ho 

Main paa'on jhoom kay rakhon dhamaal kar daalon 
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...