Mar 27, 2018

Hamein dariyaaft karnay se




Hamein dariyaaft karnay se 
Hamein taskheer karnay tak 
Bahut hain marhalay baqi 
Hamein zanjeer karnay tak 
Hamaray hijar kay qissay 
Sameto gay to likho gay 
Hazaron baar socho gay 
Hamein tehreer karnay tak 

Hisab-e-umar ka itna sa goshwara hai


Hisab-e-umar ka itna sa goshwara hai 

Tumhein nikaal kay dekha to sab khasara hai 


Woh kya visaal ka lamha tha Jis kay nashay main 


Tamaam umar ki furqat hamen gawara hai 

Abhi umeed baqi hai keh woh bichra hua ik shakhs


Abhi umeed baqi hai keh woh bichra hua ik shakhs 

Kisi bhi mor pe aa kar mujhay hairaan kar de ga 

Kaash keh kabhi aisa bhi ho





Kaash keh kabhi aisa bhi ho 

Aadhi raat ko meray mobile pe koi call aaye 
Screen pe tumhara naam jag'maga raha ho 
Jissay daikh kar hamesha ki tarah 
Meri aankhein num ho jayein 
Phir main laraztay huye haathon se 
Mobile ko uthaon 
Tumhari call receive karon 
Aur phir 
Tumhari siskiyon bharri awaz aaye 
Aur tum kaho 
Phir se loat aayo na 
Tumhari yaad aati hai 
Aur phir khamoshi sari raat baatein karay 

Kehtay hain keh waqat kay saath


Kehtay hain keh waqat kay saath 
her zakham bhar jata hai 
Magar sach to yeh hai 
Keh hum dard kay saath jeena seekh jatay hain 

Kisi ko ghar se nikaltay hi mil gayi manzil


Kisi ko ghar se nikaltay hi mil gayi manzil 

Koi hamari tarah umar bhar safar main raha 

Tark-e-ta'aluq kaam na aaya




Tark-e-ta'aluq kaam na aaya 

Un se mohabbat aaj bhi hai 

Woh jo ishq tha , woh junoon tha


Woh jo ishq tha , woh junoon tha 

Yeh jo hijar hai , yeh naseeb hai !! 

Tum aakhri manzil ho meray saray safar ki


Tum aakhri manzil ho meray saray safar ki 

Ab mujh se koi naqal makani nahin ho gi 

Mera sochna teri zaat tak




Mera sochna teri zaat tak 
Meri guftagoo teri baat tak 
Na tum milo jo kabhi mujhay 
Mera dhoondna tujhay paar tak 
Main ne apna sab kuch ganwa diya 
Teri nafraton se pyar tak 
Kabhi fursatein jo milein to aa
Meri zindagi kay hisaar tak 
Main ne jana keh main kuch nahin 
" Teray pehlay se teray baad tak "
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...