Urdu and English Poetry of famous authors, short poetry, two liners and complete Ghazals and Nzams & Many More ...
Sep 19, 2018
Woh abhi apnay chehray main utra nahin
Kis se poochon woh kya shakhs hai
Jo meri
Aarzu kay jharokon main thehray huye
Saray chehron main bikhra hua hai magar
Khud abhi apnay chehray main utra nahin
Kis se poochon woh kya
Naam hai jo meri
Dharkano kay muqaddar main marqoom hai
Aur woh kya ajnabi hai
Jo sadiyon se meray khayalon kay kariye main abaad hai
Magar mera surat shanasa nahin
Kis ki awaz hai Jo meri rooh main naghma-e-parwaz hai
Kon bataye ga uss nagar ka pata
Jis ki matti ki khushbu meray jism kay wastay darj hai
Jis kay dewar-o-dar meri be'khawab aankhon se manoos hain
Aur jis ko kabhi main ne dekha nahin
Na'rasai meri , Na'rasai meri
Jis ko paya na tha uss ko khonay ka gham
Meri khawaish kay seenay ka nasoor hai
Kis ko awaz doon , kis ka matam karon
Woh abhi apnay chehray main utra nahin
Kis se poochon Mera mad'dua kon hai
Na'rasa kon hai
Rukta bhi nahi theek se , chalta bhi nahin hai
Rukta bhi nahi theek se , chalta bhi nahin hai
Yeh dil keh tere baad , sambhalta bhi nahin hai
Ik umar se hum uss ki tamana main hain be'khawab
Woh chand jo aangan main , utarta bhi nahin hai
Phir dil main teri yaad kay , manzir hain farozan
Aisay main koi dekhnay wala bhi nahin hai
Hum'raah bhi khawaish se , nahin rehta hamaray
Aur baam-e-rifaqat se , utarta bhi nahin hai
Is umar kay sehra se , teri yaad ka badil
Talta bhi nahin , aur barasta bhi nahin hai
Jun 23, 2018
Main aksar sochti hoon
میں اکثر سوچتی ہوں
کِتنا اچھا ہے کہ اللہ کو وضاحتیں نہیں چاہئیں
کتنا اچھا ہے کہ وہ بِن کہے سُن لیتا ہے
وہ بس دِل دیکھتا ہے اور دِل دیکھ لے تو پھر
دِل پھیر دیتا ہے
اُس کے پاس جائیں تو وقت کی قید سے
آزادی ہوتی ہے
جتنا بھی بول لو وہ نہیں کہے گا کہ بس کرو
میں سُن سُن کر تنگ آگیا ہوں
نہ بولو تو بھی سُن لیتا ہے
دِلوں کو الہام دیتا ہے
رو لو تو مضبوطی عطا کرتا ہے
سہارا دیتا ہے ، مذاق نہیں اُڑاتا ، دُھتکارتا نہیں ہے
میں سوچتی ہوں کسی ہمدرد کا کاندھا مُیّسر آنے سے کِتنا بہتر ہے
اِس اُمید کا ہونا کہ " وہ ہے "
اِس یقین کا ہونا کہ " میرا اللہ میرے ساتھ ہے"
اِس اطمینان کا ہونا کہ " میرا اللہ مجھے گِرنے نہیں دے گا "
Woh jo hum se bayaan nahin hotay
وہ جو ہم سے بیاں نہیں ہوتے
لفظ اتنے آساں نہیں ہوتے۔۔۔
کوئی سمجھے تو بولتے ہیں مگر
درد اہلِ زباں نہیں ہوتے۔۔۔
دُشمنی دوستی سے بہتر ہے
دُشمنی میں گُماں نہیں ہوتے۔۔۔
ہم سے مِلنا ہے تو پَلٹ جائیں
بَخُدا ہم یہاں نہیں ہوتے۔۔۔
فِکر نہ کر، کہ جب تلک ہم ہیں
غم تیرے بے اماَں نہیں ہوتے۔۔۔
میرے گھر کے مکِین ہیں سارے
حادثے بے مکاں نہیں ہوتے۔۔۔
لوگ لوگوں کی جان لیتے ہیں
لوگ لوگوں کی جاں نہیں ہوتے۔۔۔
چھوڑیے اب تو مر چُکا وہ شخص
مُردوں سے بدگُماں نہیں ہوتے۔۔۔
بقصدِ حُرمت صدا نہیں دیتا
آپ ورنہ کہاں نہیں ہوتے۔۔۔
عشق گھاٹے کا کاروبار نہیں
چاہتوں میں زیاں نہیں ہوتے۔۔۔
غم ہیں خوددار کس قدر میرے
چہرے سے عیاں نہیں ہوتے۔۔۔
باتیں دل کی میں دل میں رکھتی ہوں
کیونکہ دل آتش فشاں نہیں ہوتے۔۔۔
جن پہ دُنیا تمام ہو جاۓ
اُن سے آگے جہاں نہیں ہوتے۔۔۔
Woh jo hum se bayaan nahin hotay
Lafz itnay asaan nahin hotay
Koi samjhay to boltay hain magar
Dard ehal-e-zuban nahin hotay
Dushmani dosti se behtar hai
Dushmani main gumaan nahin hotay
Hum se milna hai to palat jayein
Ba'Khuda hum yahan nahin hotay
Fikar na kar , keh jab talak hum hain
Gham teray be'amaan nahin hotay
Meray ghar kay makeen hain saaray
Haadsay be'makan nahin hotay
Log logon ki jaan letay hain
Log logon ki jaan nahin hotay
Chor de ab to mar chuka woh shakhs
Murdon se bad'guman nahin hotay
Baq sad-e-hurmat sada nahin deta
Aap warna kahan nahin hotay
Ishq ghaatay ka kar-o-baar nahin
Chahaton main ziyaan nahin hotay
Gham hain khud daar kis qadar meray
Chehray se ayaan nahin hotay
baatein dil ki main dil main rakhti hoon
Kiyon keh dil aatish fishan nahin hotay
Jin pe duniya tamaam ho jaye
Un se aagay jahan nahin hotay
Jab tasawur main na payein gay tumhein
جب تصور میں نہ پائیں گے تمہیں
پھر کہاں ڈھونڈنے جائیں گے تمہیں
تم نے دیوانہ بنایا مجھ کو
لوگ افسانہ بنائیں گے تمہیں
حسرتو ! دیکھو یہ ویرانہ دل
اِس نئے گھر میں بسائیں گے تمہیں
میری وحشت، مرے غم کے قصے
لوگ کیا کیا نہ سنائیں گے تمہیں
آہ میں کتنا اثر ہوتا ہے
یہ تماشا بھی دکھائیں گے تمہیں
آج کیا بات کہی ہے تم نے
پھر کبھی یاد دلائیں گے تمہیں
سیف یوں چھوڑ چلے ہو محفل
جیسے وہ یاد نہ آئیں گے تمہیں
سیف الدین سیف
Jab tasawur main na payein gay tumhein
Phir kahan dhondnay jayein gay tumhein
Tum ne deewana banaya mujh ko
Log afsana banaein gay tumhein
Hasrato ! dekho yeh veerana-e-dil
Is naye ghar main basa'ein gay tumhein
Meri wehshat , meray gham kay qissay
Log kya kya na suna'ein gay tumhein
Aah main kitna asar hota hai
Yeh tamasha bhi dikhaein gay tumhein
Aaj kya baat kahi hai tum ne
Phir kabhi yaad dilaein gay tumhein
Saif youn chor chalay ho mehfil
Jaisay woh yaad na aayein gay tumhein
Subscribe to:
Posts (Atom)