- Jo lehrain samandar main gum ho jati hain woh apni shanakhat
 
          kho dati hain
- Yeh zaroori nahin keh insaan kisi bari thokar lagney ki waja
 
           se tootay kabhi kabhi choto choti batain bhi insaan ko torney
           aur bakhair'ny lagti hain
- Jab sochain aur khyalat gehray honey lagtay hain to insaan
 
          main sadgi aney lagti hai aur insaan ainay ki tarah shafaaf
          honey lagta hai
- Is duniya main 2 log hi ap ko achi tarah jantay hain aik
 
          woh jo aap se ziada mohabbat kartay hain aur aik woh jo
          aap se sab se ziada nafrat kartay hain 

No comments:
Post a Comment