Kabhi soch ko hi sula diya kabhi josh apna barha diya 
Teray naam likhye thay khat kabhi unhein rafta rafta jala diya 
Rahay ranj-o-gham kay aseer hum roshni kay dasay huye 
Isi khouf main ae jaan-e-jaan chragh-e-dil hi bujha diya 
Meray dil ki bhatki si hasratein kuch baghi'yana wehshatein 
Teri justago-e-shouq main unhein dasht-e-dil main daba diya 
Abhi raat pichlay pehar sanam hua maajra yeh ajeeb sa
Teray dil kay karb-o-junoon ne mujhay wehshaton se mila diya 
Hai sitam zareefi ajeeb si teray dil main hoon main tera nahin 
Yeh muqaddaron main likha hua jis ne hum ko rula diya 
Hai mohabbaton main qaraar-e-dil yeh faraib-e-jaan si baat hai 
Teri tar nigah ko dekh kar main ne khwaishon ko daba diya 
Meri aarzoo meri justagoo teray dil main rang-o-chaman bharon 
MAin ne apni khushiyon ki raakh main teray gham ko pal main jala diya 
Shab-e-hijar ho ya wisaal ho ya mohabbaton ka zahoor ho 
Main ne dil ki galiyon se her nishaan us justagoo ka mitta diya 
Tera humsafar hoon main hum-nasheen yeh tujh se ehad naseem hai 
MAin ne dharkano ko saaz dil apna gaa kay suna diya

No comments:
Post a Comment