Kahin se tera saath le ayon 
Wasal ki chand raat le ayon 
Baith jaaon kisi do'rahay  par 
Maang kay tera haath le ayon 
Kitni sadiyon kay baad bolon main 
LAb pe ik teri hi baat le ayon 
Apni aankhon ki band galiyon se 
Aanso'on ki baraat le ayon 
Itni pooja karon keh main ik din 
Apni zaat main teri zaat le ayon 

No comments:
Post a Comment