Agar hum kahein aur woh muskura dain 
Hum un ky liye zindgani luta dain 
Her ik morr pe hum ghammon ko saza dain 
Chalo zindagi ko mohabbat bana dain
Agar jhud ko bhoolay to kuch bhi na bhoolay 
Keh chahat main un ki khuda ko bhula dain 
Kabhi gham ki aandhi jinhain choo na paye
Wafaon ko hum woh nashaiman bana dain 
Saza dain keh na dain bana ky mitta dain 
Magar woh koi faisala to suna dain  
No comments:
Post a Comment