Apni ruswai teray naam ka charcha dekhon
Ik zara shair kahon aur main kiya kiya dekhon 
Neend aajaye to kiya mehfalein barpa dekhon 
Aankh khul jaye to tanhai ka sehra dekhon 
Shaam ho gai dhund la gayi aankhain meri
Bhoolney wale main kab tak tera rasta dekhon 
Tu mera kuch nahin lagat hai magar jaan-e-hayaat 
Janey kyn teray liye dil ko dhar'rakta dekhon 
Band kar ky meri aankhain woh shrarat se hansay 
Boojhay janey ka main her roz tamasha dekhon 
Mujh pe cha jaye woh barsaat ki kushboo ki tarah 
Ang ang apna usi rut main mehkata dekhon 
No comments:
Post a Comment