Bhool jana bhi ussay yaad bhi kartay rehna 
Acha lagta hai is dhun main bikhartay rehna 
Hijar walon se bari dair se seekha hai hum ne 
Zinda rehnay kay liye jaan se guzartay rehna 
Kiya kahon kiyon meri neendon main khalal  dalta hai 
Chaand ky aks ka pani main utarty rehna 
MAin agar toot bhi jayon to phir aaina hoon 
Tum meray baad behar tor sanwartay rehna 
Ghar main rehna hai to bikhraye huwey saaye chunn kar
Zakham dewaar-o-baam ky bhartay rehna 
Shaam ko doobtay suraj ki hai aadat mohsin 
Subha hotay hi meray sath ubhartay rehna 
No comments:
Post a Comment