Dasht-e-tanhi main Ae jaan-e-jahan larzaan hain 
Teri awaaz ky saaye teray honton ky saraab 
Dasht-e-tanhai main doori ky khas-o-kaal tlay
Khil rahain hain teray pehloo ky saman aur gulaab 
Uth rahi hai kahin qurbat se teri saans ki aanch 
Apni kushboo main sulagti hui madham madham 
Door ufaq paar chamakti hui qatra qatra 
Gir rahi hai teri dil'daar nazar ki shabnam 
Is qadar pyaar se ae jaan-e-jahan rakha hai
Dil ky rukhsaar pe is waqat teri yaad ne hath 
Youn gumaan hota hai garcha hai abhi subh-e-firaaq 
Dhal gaya hijar ka din aa hi gayi wasal ki raat  
No comments:
Post a Comment