gul-e-zubaan py wohi sardiyon ka mousam hai 
Tumharay haan py wohi sardiyon ka mousam hai 
Drakhat pe kabhi jo Chooriyon se dala tha 
us aik nishaan pe wohi sardiyon ka mousam hai 
Yeh aik hum keh nayi boliyaan sada bolain 
Teray zabat pe wohi sardiyon ka mousam hai 
Sulag rahay hain dehaan main qabaein lafzon ki 
Meray zubaan pe wohi sardiyon ka mousam hai 
Her ik simat pighlaney lagay hain snatay 
Teray biyaan pe wohi sardiyon ka mousam hai 
Jahan jahan teri kushboo ky rang bikhray hain 
Wahan wahan pe wohi sardiyon ka mousam hai 
Teri judai kay pal say hua hai askh kanoot
Keh is jahan pe wohi sardiyon ka mousam hai 
Woh haan karay gi baharon main us ka wada tha 
Us  aik haan pe wohi sardiyon ka mousam hai 
Woh mujh ko somp gaya fraq'tein december main 
Drakhat-e-jaan pe wohi sardiyon ka mousam hai 
Hamaray lab to dhuwan jalaye rakhtay hain 
Par asmaan pe wohi sardiyon ka mousam hai  
No comments:
Post a Comment