Mil kar juda huye to na soya karein gay hum 
Ik doosray ki yaad main roya karein gay hum 
Aansoo chalak chalak kay staein gay raat bhar 
Moti palak palak main piroya karein gay hum 
Jab dooriyon ki aag dilon ko jalaey gi 
Jismon ko chandani main bhigoya karein gay hum 
Gar de gaya dagha hamein toofan bhi qateel 
Saahil pe kashtiyon ko daboya karein gay hum 

No comments:
Post a Comment