Phir se pyaar ka dhoka khaya ja sakta tha 
Dil ka kiya hai dil beh'laya ja sakta tha 
Kyoun wapis na aya ja kar woh janey
Lakin us ky paas jaya ja sakta tha 
Gar nahin hota mom ki surat dil apna
Gham ky suraj se tak'raya ja sakta tha 
Aik tumhara sath gar mil jata to 
Sari duniya ko thukriya ja sakta tha
Logon ne mujrim teh'raya maan liya 
Aakhir kis kis ko samjhaya ja sakta tha 
Lay dooba ja aankhon ko batool 
Kaisay dil ka shaher bachaya ja sakta tha 
No comments:
Post a Comment