Ya rab gham-e-hijraan main itna to kiya hota 
Jo hath jigar pe hai wohi dast-e-dua hota 
Ik ishq ka gham aafat aur is pe yeh dil aafat 
Ya gham na dia hota ya dil na dia hota 
Nakaam tamana-e-dil is soch main rehta hai 
youn hota to kiya hota , youn hota to kiya hota
Umeed to bandh jati taskeen to ho jati
Wada na wafa karty wada to kiya hota 
Ghairon se kaha tum ne ghairon se suna tum ne 
Kuch hum ne kaha hota , kuch hum se suna hota
No comments:
Post a Comment