Be naam sa rishta 
Main nahin jaanta keh tumhare khwabon main mera guzar hai ya nahin 
Magar meray khwaab tum hi se sajay hain 
Mujhe nahin pata keh tumhari muskurahat main koi yaad hai ya nahin 
Lakin meri muskaan tum hi ho 
Na'jane tumhari nazar ko mera intizaar hai bhi ya nahin 
Magar meri nigahain to tumhari muntazir hain 
Kiya khabar keh tumhari duaon main mera naam bhi hai ya nahin 
Magar meri duaein to bas tumhare liye hain 
Mujhe nahin maloom keh tumhari raahain aur manzalain kahan hain 
Lakin meri manzal to sirf tum hi ho 
MAin tum se be'khabar hi sahi magar tumhara muntazir hoon 
Tum se door hi magar saath tumharay hi hoon 
Agar tum socho to
No comments:
Post a Comment