Bijliyaan hosh pe gira hi de 
Aaj parda sanam utha hi de
Pyaas bujhti nahin hai sagar se
Mere saaqi mujhe suraahi de
Ab koi loat ke na aye ga 
Aas ke sab diye bujha hi de
Sab se kartay raho bayan us ka 
Us ko shayed koi bata hi de
Meh'kaday ki kabhi to aye saaqi 
May'kashon ko bhi sar'brahi de 
Khud hi qaatil banay hain munsif bhi
Kon ab qaatil ki gawahi de
Apna hi mulk jo fatah kar lain 
Hum ko aisay na ab sipahi de
Kaisa suraj tulooh hua hai "qamar"
Din main jo raat ki siyahi de  
No comments:
Post a Comment