Itna kiyon parishaan hai meri deewangi se tu 
Jahan main aur bhi mojood kitnay hi dewane hain 
Teri khushboo , teri yaadain , tera chehra teri baatein 
Chupanay ko meray dil main hazaron qaid'khanay hain 
Apna aap shayed main wahin pe bhool ayi hoon 
Jahan teray meray raastay mukhtalif simat jane hain 
Is hraasan deep ki manind hoon main jis ne 
 Hijar ki aandiyon kay hoslay bhi azmanay hain 
Bichar kar tujh ko bhi aksar neri yaadain staaein  gi
Mrasam bhi to tujh se jaan-e-jaan barson puranay hain 
No comments:
Post a Comment