Jo dil pe naqsh hoon manzar suhanay lagtay hain 
Kisi kay bhoolnay main bhi zamanay lagtay hain 
Bhout se aur bhi khultay hain dard us lamhay 
Jab aik gham ko hansi main chuppanay lagtay hain 
Qalam ko choom liya hum ne likhtay waqat kabhi 
Kabhi khud apna likha bhi mitaanay lagtay ahin 
Ajeeb dard hai jis dam koi dilaasa de 
Mujhay to pichlay bhi gham yaad anay lagtay hain 
Hum un se apni koi baat karna chahtay hain 
Woh dastaan jahan ki suna'nay lagtay hain 
Raqam kiya jinhain auraaq-e-dil pe hum ne kabhi 
Kabhi woh shaam kay manzar draanay lagtay hain 
Kabhi to miltay hain do ajnabi bhi aisay sehar 
Keh un kay beech taaluq puraanay lagtay hain 
Yasmeen sehar
No comments:
Post a Comment