Judai ho keh milan her ada hamari hai 
Tumhara shaher hai lakin fiza hamari hai 
Shikayatain bhi karain hum to kis zubaan se karain 
Khuda banaya hum ne yeh khata hamari hai 
Hamari jisam ki uriyaanat pe mat hansana 
Keh tum jo oorhay huye ho woh ridaa hamari hai 
Hamare samne zeba nahin ghroor tumhain 
Jahan pe baithe ho woh jaga hamari hai  
No comments:
Post a Comment