Kabhi ruk gaye kabhi chal diye , kabhi kabhi bhatak gaye
Youn hi umar sari guzaar di youn hi zindagy kay sitam sahay 
Kabhi neend main kabhi hosh main tu jahan mila tujhay dekh kar 
Na nazar mili na zubaan mili youn hi sar jhuka kay guzar gaye 
Kabhi zulf par kabhi chasham par kabhi kabhi teray haseen wajood par 
Jo pasand thay meri kitaab main woh shair saray bikhar gaye 
Kabhi arsh par kabhi farsh par kabhi un kay dar kabhi dar-ba-dar 
Gham-e-aashqui tera shukriya ham kahan kahan se guzar gaye
Parveen Shakir 
No comments:
Post a Comment