Main ne us ko barf dino main dekha tha 
Us ka chahera suraj jaisa lagta tha 
Youn hi nazrain aapis main mil leti thein 
Woh bhi pehron chaand ko takta rehta tha 
Woh galiyaan woh raastay kitnay achay thay 
JAb main nangay paaon ghooma karta tha 
Charoon janib us ki kushboo bikhri thi 
Hijar ka aik mousam bhi us kay jaisa tha 
Door kahin awaaz ke ghangroo bajtay thay 
Aur main kaan lagaye sunta rehta tha 
Sabaz ruton main aksar mujh ko yaad aya 
Us ne khat main sookha patta bhaiga tha
Poet : Hassan Rizvi
No comments:
Post a Comment