Main tum ko bhout aanay lagon jab yaad , chale ana 
Bhool jana apni kahi her baat , chalay ana 
Judai ka woh lamha aur woh manzar dhaltay suraj ka 
Yaad jab tum ko anay lagay woh shaam , chale ana
Bhool jaao tum agar manzil kabhi apni 
Uthana apnay qadam phir meri taraf , chale ana 
Had se guzar jaye jab mera zabat-e-gham 
Aur main pukaaron tum ko baar baar , chale ana 
No comments:
Post a Comment