Mujhay rona nahin awaaz bhi bhaari nahin karni 
Mohabbat ki kahani main ada'kaari nahin arni 
Hamara dil zara uktaa gaya tha ghar main reh kar 
Youn bazaar aye hain , kharidaari nahin karni 
Tahammuel ae mohabbat , hijar pathreela ilaaqa hai 
Tujhay is raastay pe tez raftaari nahin karni 
Hawa kay khauf se lipta hua hoon khushk tehni se
Kahin jana nahin , jaane ki tayari nahin karni 
Ghazal ko kam nigahon ki ponch se door rakhta hoon 
Mujhay banjar dimaagon main shajar 'kaari nahin karni
Naseehat ki thi mujh ko qais ne sehra kay baaray main 
YEh mera ghar hai is ki chaar dewaari nahin karni
No comments:
Post a Comment