Rait par likha hai mera naam mitaya na karo 
Aankhain sach bolti hain pyaar chupaya na karo 
Log her baat ka afsana bana letay hain 
Sab ko haalat ki ru'daad sunaya na karo 
Yeh zaroori nahin her shakhs maseeha hi ho 
Pyaar kay zakham amanat hain dikhaya na karo  
No comments:
Post a Comment