Safar par saath chali thi jo reh'baron ki tarah
Juda hui woh bhi aakhir musafiron ki tarah 
Main sochta hoon woh kaisay bichar gayi mujh se
Jo dhoop main milti thi mujhay baadlon ki tarah 
Ajeeb larki thi hawaaon se dushmani le kar 
Woh rair pe likhti thi mera naam paaglon ki tarah 
Woh chahaton ki mukamal kitaab thi yaroo
Mujhay fasana sunaati thi shairon ki tarah 
No comments:
Post a Comment