Yeh jo us se mujhay mohabbat hai
ik zaroorat bala zaroorat hai 
Apni tareef sun nahin sakta 
Khud se mujh ko bala ki wehshat hai 
Apni talwaar tez rakhta hoon 
Jaanay kis se mujhay adawat hai 
Dukh hua aaj dekh kar us ko 
Woh to waisa hi khoobsurat hai 
No comments:
Post a Comment