Kab us ka wisaal chahiye tha 
Bas ik khyal chahiye tha 
Kab dil ko jawaab se gharz thi
Honton ko sawaal chahiye tha 
Shouq ek nafs tha aur wafa ko 
paas-e-maah-o-saal chahiye tha 
Ek chehra-e-sadaa tha jo hum ko 
Be'misal-o-misaal chahiye tha 
Ek qarb main zaat-o-zindagi hain 
Mumkin ko mohaal chahiye tha 
No comments:
Post a Comment