Asar us ko zara nahin hota 
Ranj rahat fiza nahin hota 
Tum hamaray kisi tarah na huye
Veeran duniya main kiya nahin hota 
Na'rasai se dam rukay to rukay 
MAin kisi se khafa nahin hota 
Tum meray paas hotay ho goya 
Jab koi doosra nahin hota 
Haal-e-dil yaar ko likun kiyon kar 
Haath dil se juda nahin hota
Daaman us ka jo hai daraaz to ho 
Dast-e-aashiq rassa nahin hota 
Chaara-e-dil siwaye sabar nahin 
So tumharay siwa nahin hota 
Kiyon sunnay arz-e-muztarib ae "Momin"
Sanam aakhir khuda nahin hota 
No comments:
Post a Comment