Nazrain mila kar jana nazrain churaya nahin kartay 
Chragh-e-ishq jala kar youn bujhaya nahin kartay 
Maan li shakist hum ne go tum haseen ho 
Ghroor-e-husan main kisi ka dil dukhaya nahin kartay 
Woh ishq main ghair se mashwara maangtay hain 
inhain batao raaz-e-dil kisi ko bataya nahin kartay 
Daaman thaam saktay ho to thaam lo ae Imran
Warna duniya wale youn giray huon ko utahya nahin kartay 
No comments:
Post a Comment