Hum jaison ko kab woh pyaar deta hai 
Phool maangain to khaar deta hai 
Faqat nigahon ki bijliyaan giraye to kiya gham 
Woh iraadon ki be'pannah maar deta hai 
Hum hain keh hamari is pe ik nahin chalti 
Aur woh nainon kay teer dil main utaar deta hai 
Gar bhool kar jayein us ki gali main imran 
To woh junoon-e-josh main pathar maar deta hai 
Hum jaison ko kab woh pyaar deta hai 
Phool maangain to khaar deta hai 
No comments:
Post a Comment