Chaand ko chaand nahin tera chehra kehta
Phool ko phool nahin tera shabaab kehta 
Kaash main shaair hota to 
Tera meri taraf aik baar dekh kay muskurana 
Teri muskurahat ko muskurahat nahin tera andaaz-e-wafa kehta 
Mann mohni si masoon si kitni pyaari teri surat hai 
Tujh ko zameen ki zameen nahin jannat ki hoor kehta 
Teri mohabbat main wasal ka din na aya hai na aye ga 
Tero mohabbat ko mohabbat nahin ik adhoora khwaab kehta 
Sehnaai ho ya mehfil her waqat teri yaad main khoya rehta hoon 
Teri yaad ko yaad nahin apnay liye anmol tohfa kehta 
Kaash main shaair hota to  
No comments:
Post a Comment