Raat ki tanhai main un aahaton ki kash'makash 
Kaisi ajeeb hoti hai in karwaton ki kash'makash 
Her anjumaan andhoora hai , her mehfil akeli hai 
Deedaar ko tarasti , in chokhaton ki kash'makash 
NA thikana hai koi bhi zinda laashon kay liye 
Yehi hai sisaktay sunkate marghaton ki kash'makash 
Kai gehray sawalon ka karwaan jo jaisay koi 
Youn meri paishaani pe salwaton ki kash'makash 
Haadsay to sabhi ne dekhaye hon gay sadkon par 
Jaanta hai koi kiya , jam ghatton ki kash'makash  
No comments:
Post a Comment