Kisi ka saath nibhaana kamaal hota hai 
Kisi ko phir se bulaana kamaal hota hai 
Kuhd apnay dard ko her koi jhail leta hai 
Kisi ka dard batana kamaal hota hai 
Koi pahaar giraana nahin hai na'mumkin 
Giray huye ko uthaana kamaal hota hai 
Kisi andheray ko sehna kamaal lagta hai 
phir is main deep jalana kamaal hota hai 
Bahaar rut main to ugtay hain phool baaghon main 
Khizaan main phool ugaana kamaal hota hai 
Kisi ki aankh se doori to zulam hai 
Kisi kay dil main samaana kamaal hota hai  
No comments:
Post a Comment