Koi surat aashna apna na begaana koi 
Kuch kaho yaaro yeh basti hai keh veerana koi 
Subha dam dekha to sara baagh tha gul ki tarah 
Shama kay taboot par roya na parwana koi 
Khilwaton main roye gi chuph chuph kat laila-e-ghazal 
Is biya'baan main na ab aye ga dewaana koi 
Hum'nasheen khamosh , dewarain bhi sunti hain yahan 
Raat dhal jaye to  phir chairain gay afsaana koi 
No comments:
Post a Comment