Dil pe ik tarfa qayamat karna 
Muskuraatay huye rukhsat karna 
Achi aankhin jo mili hain us ko 
Kuch to laazim hua wehshat karna 
Jurm kis ka tha , saza kis ko mili 
Kiya gayi baat pe hujjat karna 
Kon chahye ga tumhain meri tarah 
Ab kisi se na mohabbat karna 
Ghar ka darwaza khula rakha hai 
Waqat mil jaye to zehmat karna 
No comments:
Post a Comment