Apni aag ko zinda rakhna kitna mushkil hai 
Pathar beech aaina rakhna kitna mushkil hai 
Kitna asaan hai tasveer banana auron ki 
Khud ko pas-e-aaina rakhna kitna mushkil hai 
Tum ne mandir dekhaye hon gay , yeh mera ghar hai 
Aik dia bhi jalta rakhna kitna mushkil hai 
Apni aag ko zinda rakhna kitna mushkil hai 
Chalo main hoon dard ka daira , jaan main us kay ho
Youn bhi khud kopyasa rakhna kitna mushkil hai 
Apni aag ko zinda rakhna kitna mushkil hai 
No comments:
Post a Comment