Pathar tha magar baraf kay gaalon ki tarah tha
Ik shaks andheron main ujaalon ki tarah tha 
Khwabon ki tarah tha , Na khyalon ki tarah tha
Woh ilmj-e-riyazi kay sawalon ki tarah tha 
Uljha hua aisa keh kabhi hal ho nahin paya 
Suljha hua aisa keh misaalon ki tarah tha 
Woh mil to gaya tha magar apna yeh muqadar 
Shatranj ki uljhi hui chaalon ki tarah tha 
Woh rooh main khushboo ki tarah ho gaya tehleel 
Jo door bhout chaand kay haalon ki tarah tha 
No comments:
Post a Comment