Shayed us ne mujh ko tanha dekh liya hai 
Dukh ne meray ghar ka rasta dekh liya hai 
Apnay aap se aankh churaye phirti hoon main 
Aainay main kis ka chehra dekh liya hai 
Ab bhi sapnay boye to emaan hai us ka 
Us ne in aankhon main sehra dekh liya hai 
Us ne mujhay dar'asal kabhi chaha hi nahin tha 
Khud ko de kay yeh bhi dhoka , dekh liya hai 
Us se miltay waqat ka rona kuch fitri thi 
Us se bichar janay ka nateeja dekh liya hai 
Rukhsat karnay kay adaab nibhaanay hi thay 
Band aankhon se us ko jaata dekh liya hai 
Parveen Shakir  
No comments:
Post a Comment