Teri nigah kay jaadoo bikhartay jaatay hain 
Jo zakham dil ko mile thay woh bhartay jaatay hain 
Teray baghair woh din guzar jaye aakhir 
Teray baghair yeh din bhi guzartay jaatay hain 
Liye chalo mujhay dariya-e-shouq ki mojo
Keh hamsafar to mere paar utar'tay jaatay hain 
Tamaam umar jahan hanstay khailtay guzri 
Ab us gali main bhi hum dartay dartay jaatay hain 
Main khwaishon kay gharonday banaye jaata hoon 
Woh mehnatein meri bar'baad kiye jaatay hain 
No comments:
Post a Comment