Mere hamsafar teri nazar main , mera jazba-e-dil ki yeh shiddatein 
Meri chah meri mohabbatein , mere sajday meri ibaadatein 
Woh jo saath chalnay ka khwaab tha , kahin reh gaya , kahin kho gaya 
KAhin kho gaya mera hamsafar , raheein paas ab na woh chahatein 
Woh gulaab thay keh khwaab thay , teray harf harf main kitaab thay 
Tera taza khat bhi mila magar , nahin is main pehlay si shiddatein 
Meray chaand tu hi bata mujhay , kahan hai woh mera zamana-e-saaz
Kahan thak kay reh gaya karwaan , kahan reh gayi meri sangatein 
Woh jo mousamon ka habeeb tha , meri pyaasi aankh ka khwaab tha 
Woh mujhay ab bhi aziz hai , Karay dil par ab bhi hakoomatein  
No comments:
Post a Comment