Jab raat ki tanhai dil ban kay dharakti hai 
Yaadon kay dareechon main chilman si sirakti hai
Laabon main chingaari jaisay koi rakh jaye
Youn yaad teri shab bahr seenay main sulagti hai 
Youn pyaar nahin chuphta , palkon kay jhukaanay se
Aankhon kay lifaafon main tehreer chamakti hai 
Khush rang parindon kay kay loat aanay kay din aye 
Bichray huye miltay hain jab barf pighalti hai 
Shorat ki bulandi bhi , pal bhar ka tamasha hai 
Jis daal pe baithay ho , woh toot bhi sakti hai  
No comments:
Post a Comment