Youn di hamain azaadi keh duniya hui hairaan 
Ae Qaid-e-Azam tera ehsaan hai ehsaan 
Her simat musalmaan pe chaai thi tabaahi
Mulk apna tha aur  aur ghairon kay haathon main thi shaahi 
Aisay main utha deen-e-mohammad ka sipaahi
Aisay main utha deen-e-mohammad ka sipaahi
Aur naara-e-takbeer se di tu ne gawahi 
Islaam ka jhanda liye aya sar-e-maidaan 
Ae Qaid-e-Azam tera ehsaan hai ehsaan  
Dekha tha jo iqbaal ne  ik khwaab sohaana 
US khwaab ko ik roz  haqeeqat hai banana 
Yeh socha jo tu ne to hansa tujh pe zamana 
Her chaal se chaha  tujhay dushman ne harana 
Maara tu ne woh daa'o keh dushman bhi gaye maan 
Ae Qaid-e-Azam tera ehsaan hai ehsaan  
Larnay ka dushmano se ajab dhang nikala 
Na toop , na bandooq , na talwaar , na bhaala 
Sachai kay anmol asoolon ko sambhala 
Jinnah teray paigham main jaado tha niraala 
Emaan wale chal paray sun kar tera paighaam 
Ae Qaid-e-Azam tera ehsaan hai ehsaan  
Nqsha badal kay rakh diya is mulk ka tu ne 
Saya tha Mohammad ka khaleefa teray sar pe 
Duniya se kaha tu ne koi hum se na uljhye 
Likha hai is kamei pe  shaheedon ne lahoo se 
Azaad hai  azaad rahain gay yeh musalmaan 
Ae Qaid-e-Azam tera ehsaan hai ehsaan 
Youn di hamain azaadi keh duniya hui hairaan 
Ae Qaid-e-Azam tera ehsaan hai ehsaan 
No comments:
Post a Comment