Ishq main bhi marna itna asaan nahin 
Zaat ko radd karna itna asaan nahin 
Mujh main aisi hi koi kami dekhi ho gi us ne 
Tark-e-wafa warna itna asaan nahin 
Aik dafa tu paas-e-maseeha kar jaye
Zakhmon ka phir bharna itna asaan nahin 
Jaanay kab shorat ka zeena dy jaye 
Paaon yahan dharna itna asaan nahin 
Marnay ki dehshat to sab ne dekhi hai 
Jeenay se darna itna asaan nahin  
No comments:
Post a Comment