Sard mousamon sa mizaaj rakhta hai 
Zakham denay main kamaal rakhta hai 
Samait'ta hai meri chahtein magar 
Apni chahat ka hisaab rakhta hai 
Mansoob ho gaya , ho gaya kisi aur se magar 
Her kitaab ka mere naam intisaab rakhta hai 
Mere khloos ka talab gaar hai woh 
Jo apni baaton main azaab rakhta hai 
Muddat guzri ussay bichray huye haidar 
Yeh dil ab bhi aas rakhta hai 
No comments:
Post a Comment