Ek jabar hai ab ehsaas-e-wafa bhi , yeh dil main basana theek nahin 
Ab saaz-e-dil afsurda par , es geet ko gaan atheek nahin 
Tum bhool chukay yeh sab behtar, tum chor chalay yeh aur acha 
Khwaabon main magar majbooriyon kay yeh aana jana theek nahin 
Keh do keh nahin hum mil saktay , keh do keh koi majboori hai 
LAkin yeh labon tak la la kar baaton ko chupana theek nahin 
Aye shouq-e-janoon ab baaz bhi aa, kuch maan bhi lay tu mera kaha 
Jo jaan kar bhi anjaan banay , gham us ko sunaana theek nahin 
Ab chor bhi do dewaana pan , ab bhool bhi jaao maazi ko 
Aye shams yeh pal pal khilwat main ashkon ka bahana theek nahin 
No comments:
Post a Comment