Apni mohabbat ka her gham , main hans hans kay utha'on ga 
Par gham na kar , tu be'wafa hai , yeh main kisi ko nahin bata'on ga 
Hai qurbaan meri zindagi ki her khushi tujh par 
Dil to cheez hai kiya , yeh jaan bhi tujh pe luta doon ga 
Apni mohabbat ka her gham 
Par hamesha tarpaaein gi meri chah'atein tujh ko 
Jis tarah rulaati hai tere ishq ki baatein mujh ko 
Tarpay gi tu yaad kar kay pyaar ko mere 
Sab khaak huye , teri qasam aur waday teray 
Aur teray bina main bhi to kabhi chain nahin paaon ga 
Apni mohabbat ka her gham 
Tu rahay abaad hamesha yeh dua hai meri 
Mujh par to hansti hai yeh tanhaiyaan meri 
MAin to shayed mar kar bhi ab chain nahin paaon ga 
Apni mohabbat ka her gham main hans hans kar uthaon ga 
No comments:
Post a Comment