Hijar ki shaam dihaan main rakhna 
Ek dia bhi makaan main rakhna 
Aainay baichnay aaye ho 
Chand pathar dukaan main rakhna 
Ae zameen hashr main bhi Maa ki tarah 
Mujh ko apni amaan main rakhna 
Teer paltay to dil na zakhmi ho 
Yeh hunar bhi kamaan main rakhna 
Ek duniya yaqeen se roshan ho 
Ek aalam gumaan main rakhna 
Khud pe jab bhi ghazal suno mujh se 
Aaina darmiyaan main rakhna 
Dil se niklay na yaad qaatil ki 
Yeh shikaari Ma'chaan main rakhna 
Jab zameen ki fiza na raas aye 
Asmaan ko uraan main rakhna 
Marsiya jab likho bahaaron ka 
Zakham koi zubaan main rakhna
Khud bhi wehmon kay jaal main rehna 
Us ko bhi imtihaan main rakhna 
Itni ruswaaiyaan bhi kiya mohsin 
Kuch bharam to jahan main rakhna  
No comments:
Post a Comment