Garmi-e-shouq-e-nazaray ka asar to dekho
Gul khilay jaatay hain woh saaya-e-dar to dekho
Aisa nadaan to na thay jaan se guzarnay wale
Naashio, rehbar-o-raah'guar to dekho
Woh to woh hain tumhain ho jaye gi ulfat mujh se
Ek nazar tum mera mehboob-e-nazar to dekho
Woh jo ab chaak giribaan bhi nahin karaatay hain
Dekhnay waalo kabhi un ka jiger to dekho
Daaman-e-dard ko gulzaar bana rakha hai
Aao ik din dil-e-pur khoon ka hunar to dekho
Subha ki tarah jham'kaata hai shab-e-gham ka ufaq
"Faiz" Taabindagi-o-deea-e-tar to dekho
No comments:
Post a Comment