Honton pe hansi dekh li , dil kay andar nahin dekha 
Yaaron ne mere gham ka samandar nahin dekha 
Kitni haseen hai duniya yeh dekha hai aap ne 
Mar mar kay jeenay walon ka manzar nahin dekha 
Sheeshay ka makaan tum ne bana to liya ae dost
LAkin waqat kay haath ka pathar nahin dekha 
Rishton kay tootnay ka dard aap kiya samjhain 
Woh lamha kabhi aap ne jee kar nahin dekha 
Bhatkay roshni ki talaash main na janay kahan kahan 
Afsoos keh apni rooh kay andar nahin dekha 
Dekhi hai us ki aankhon main nami 
Toun lagta hai keh jaisay samandar udaas dekha 
No comments:
Post a Comment