Hum se chahat n aziada jataya karo 
Door Rehtay ho kahin  paas aya karo
Tera jalwa kabhi hum ne dekha nahin 
Kabhi chehra hamain to dikhaya karo 
Roz ghairon ki majlis main jaatay ho tum 
Kabhi to apnao ki mehfil sajaya karo 
Hum ranjeeda bhi hain neem deeda bhi 
Aa kay dil tum hamara beh'laya karo 
Teri majbooriyon ki khabar hai mujhay 
Baat baat par qasmain khaya na karo 
Tere waday pe hum ne bhrosa kiya 
Kuch to ulfat ka tum bhi haq nibhaya karo 
Chahnay wali ki chahat pe kar lo yaqeen 
Roshni main diya na chupaya karo 
No comments:
Post a Comment